Sim Swap kya hai,or esse kaise bachhe?
Aajkal market me sim swapping bilkul virus ke tarah phel raha hai.to dosto,aaj ham sim swap kya hai.(What Is Sim Swap) yah froud sim kiyu use kiya jata hai.or esse kaise bachhe,es dhokhe baaji baare me pure vistar se baate karenge
Sunne me apko yah kaafi aashan lag sakata hai,lekin sirf ek call se sab kuch khatam ,ji haa dosto,Sim Swapping Froud ne aapke paas ek call aata hai,or kuch sawal puchhe jaate hai,phir eske baad wahi hota hai,jiska hame dar lagta hai
Hai naa dil dahala dene wali baat?Par aap apne aap ko chinta yaa fikr me daliye kiyuki aaj me esi froud ko apke saath share karne wala hu¡taki aap bhi satark ho jaye or Hacker's [¡]ke chal ko samjhkar es trah ke jhashe me na aaye
SIM Swap kya hai,or esse kaise bachhe ?- eski puri jankari
Aapko to pata hi hai ki ese pahle bhi es tarah ke kaye mamale aa chuke hai!Or en mamlo ke chapet me kitne log bhi aa chuke hai!Dosto ye sab to ek Hacker ki chaal hoti hai,wo to essa karenge hi karenge ! behtar hai ki ham unse kaise bachhe? Ye hamare liye janana jaruri hai!
Hackers or unki chaal ye sab sirf wo hi samjh sakte hai!Hame to yah koshish karni hai,ki kis tarah se SIM Swaiping ya anya kisi tarah ke dhokhe se bachh sake!To chaliye phir jante hai!
Ham SIM Swap se jude en sabhi baato ko janege ki koshish karenge:
SIM Swapping kya hai:
Yah kaise kiya jata hai?
Es fraud ko kiyu kiya jata hai?
SIM Swapping se kaise bachhe? durgyawash yadi aap eska shikar ho jate hai,tab us paristhiti e apko kya karna chahiye
Sab kuchh pure bayore ke saath janane ke liye froud se aapko bachane wale es jankari ko pura padhiye !Kyuki aapke liye behad jaruri hai,ki SIM Swapping jese froud se bachhiye or khud ko suchit rakhne ke saath -saath apne Data or account ko bhi surchhit rakhiye
SIM Swap kya hai?
Agar sidhe tor par kaha jaye to,yah ek froud hai,jo ki philhal ka charchit wishay bhi ban gya hai!Darasal baat yah hai ki ,aapke paas jo bi SIM (Mobile Number)hai, wah band ho jata hai!Baat sirf yah nahi hai ki aapka SIM band ho jata hai,balki sochne wala baat yah hai.ki aapka Mobile Number achanak se band kiyu ho jata hai,
Asal me hota yah hai ki aapke Name se jo bhi Number hai, uske SIM ko kisi Hacker ke dwara Swap kar liya jata hai,phir Swap kiye gaye SIM ko Clone karke uska nakli (Duplicate SIM) bana liya jata hai,aab yahi Number ke Sim ko Hacker apne name se chalu (Allot)karwa leta hai,
Phir kya wo Hacker aapke sabhi banko (Banks)ke foto ko receive karke uska galat phayada uthata hai,mera matlab wah apke Banks ke sare paise foto pin ki madad se nikal sakta hai!
SIM Swap kaise kiya jata hai?
Dekhiye SIM Swapping karne ke liye or bhi tarike hai!Lekin jo sabse jayda kiya jata hai ham usi ke bare me baat karenge!
Agar ham gour kare to SIM Swapping sirf Hacking[¡]nahi hai!Balki yah crime [¡] ke dayare me aata hai! Esiliye yah mamala sabhi Mobile SIM Operator [¡]ke saaath bhi ho sakta hai, esliye sawadhan or satark rahe, chaliye jante hai Hacker ke pashindida chhal ko!
Phone call ki madad se aab tak sabse jayada jo SIM Card Swapping ke mamle aaye hai,unke karan Phone call hi bataya jaa raha hai,ji haa ab se aapko phone call se jayda sawadhan rahne ki jarurt hai,
Aapko to pata hi hai ki philhal me kuchh Mobile Operator me Maintenance ka kam chalne se Network Fluctuate kar raha hai, jiska phayada Hackers bakhubi utha rahe hai,
Darasal Phone call ke jariye aapko phanshaya jata hai,aapko kaha jata haiki aapka SIM Card aab Outdated ho gya hai, esliye aap apne SIm Card ko kara lijiye nahi to aapke SIM Card me Network ki samshya bani rahege
Aant me Hacker aapko ghar bethe SIM Card update karane la lalach deta hai,phir aapne jhanse me phasakar aapko ek SMS karne ko bolta hai,or ham aalsiyo ko kya chahiye ham Hacker ki sari baato ko manake wo sab kar dete hai
MNP(Mobile Number portability)ke jariye wese MNP ke jariye SIM Card Swapping ke mamlo abhi tak jayada dekhne ko mila nahi hai,lekin yah bhi ek achcha jariya ban jata hai,Hacker ko SIM Swap karne ke liye
MNP ka matlab apne Mobile Number ko vartaman Mobile Operator se kisi any Operator e port karna hota hai,or yaha par bhi Mobile Number ko port karne ke liye kisi Particular Number par SMS bhejana hota hai,
Yaha par bhi us SMS ka galat istemaal kiya jata hai,or es mamle me bhi Hacker aapke SIM Card banawakar apne name se Allot kara leta hai,
SIM Swap kyo kiya jata hai?
Aab tak aapko bhi samjh me aa chuka hoga ki SIM Card Swap kyo kiya jata hai,jahir se baat hai apke Mobile Number par jo bhi Service chalu hai,unka galat phayada uthaya jayega,es Case me aapka Mobile Number aapke Aadhar Card or Bank Account se bhi Linked ho sakta hai,
Yaha par aapke Bank Account ka galat phayada bhi uthaya ja sakta hai,mera matlab hai,Swap kiye gaye Sim Card ke Mobile Number ke jariye OTP prapt kar sakte hai,or phir aapke Bank Account se sare paise bhi nikale jaa sakte hai,
SIM Swap se kaise bachhe?
Agar itna muskil kaam yaani aapka SIM Clone ho sakta hai,to koi na koi rasta esa bhi jarur hoga,jisko dhayan me rakhakar ham es tarah ke froud se bachh sakte hai,
Aaj me aapko SIM Clone se bachane ke liye kuchh jaruri baate bataunga,jo ki aapko esse bachane me khafi madad karenge,or apko vawish me hone wale es trah ke froud se bachane ke liye se satark karenge
Personal Information Share naa kare?
Yah bahut jaruri hai apko privacy ko banaye rakhne ke liye,kya apko baar - baar unknown Number se call yaa SMS aate hai,to yaha par aapko savadhani ki jarurt hai,
Ji haa,agar kisi anjan Calls ya SMS ke jariye aapse Foto batane ko kaha jaye!To behtar yahi hoga ki aap unhe koi bhi jankari naa de!Yah bahut jaruri hai,iska dhayan awash rakhe
Aapne Mobile ko band naa kare?
Jab bhi hame koi baar -baar call karta hai tab ham apne Phone ko band kar dete hai,aage se es baat ka dhayan rakhe,or jab bhi apko kisi Unknown Number se baar -baar Call ya Sms aaye tab apne Mobile ko band naa kare
Dekhiye hota kya hai ki,jab bhi koi apke Sim Clone karne ki koshish karta hai,to wah yahi chahta hai,ki aapka mobile band rahe, kyuki aapka Mobile Operator aapko Alert na kar sake ki apke Sim Card ke saath koi gadbad ho raha hai,
Bank Account se apne Email ko Register kara lijiye?
Apne Bank Account me apne Mobile Number ko Register to kiya hoga,ab ek kadam aage badhaye or us bank khate se apne E-Mail ID ko bhi Register kara lijiye
Maan lijiye aapka Sim Swap ho chuka hai,to lajmi hi ki apke bank se paise nikalne ki koshish bhi ki jayegi,to apke Account se sambhandhit aapko koi bhi Notification nahi mil payega, esiliye jitna jaldi ho sake bank me Apne E-Mail id register kara lijiye
Kaise jane ki aapka SIM Swap ho chuka hai?
Chaliye maan lete hai kisi durgwash aapka SIM Clone ho jata hai,es paristhiti me kaise janege ki aapka SIM Card Swap ho chuka hai? Ghabraye maat me aapko batata hu,
Agar apke Mobile me Network aana band ho chuka hai,ya aap koi call ya sms nahi kar pa rahe hai or yah samaya ese hi 4-5 ghanto tak bana rahta hai, to yah sunischit kar le ki aapke Area ke Network me Problem hai ya nahi,
Agar aapke Area ke Network me koi pareshani hai,tab to thik hai, anyatha aapka SIM Swap ho chuka hai,
SIM Swap ho jane par kya kare?
Itna kuch karne ke babjud bhi agar aapka SIM Card Swap ho jata hai,to ghabraye mat,abhi bhi kuch hai jo aapko honewala bhare nuksan se bacha sakta hai, to chaliye jaane jante hai yesa hi jane par hame kya karna chahiye
Apne bank se content kariye apko sabse pahle jitna jaldi ho sake apne bank se sampark karna chahiye,apke apna jitne bhi bank account me registreer kara rakha tha,un shabi banko ke Helpline Number par Call karke apni sari Problem ko bata dijiye, unase kahiye ki aapke bank khate ko Hold kar de, taki koi bhi aapke khate se paise naa nikal sake
Mobile Operator se Contact content kariye,aapke saath kuch gadbad na ho isiliye apne SIM Operator ke Outlet ke paas turnt jaiyeunhe bataye ki aapka SIM Card gum ho chuka hai or wo aapke SIM ko Block kar de
Or Sim card ko block kara dene ke pashchat usi samay wahi Number ka Sim apne name se chalu kara lijiye,taaki Swap kiya gya Sim band hokar
phir se apke chalu ho jaye,
Aakhir shabad (Conclusion):
Dosto ,aaj ka dor froud or Crime se bhara padha hai,kab kiske saath kon se ghatana ghatit ho jaye yaha koi nahi janta , esiliye hamara fraj banta hai ki ham khud samajhadari se kaam le,or es trah ke dhokhadhdi jese ghatnao se bachhe,
Aaj hame jana ki SIM Swap ya SIM Clone kya hai, or esse kaise bache,
To bahiyo umeed hai,ki apko yah jankari achhi lagi ho,kyuki yah ek upyogi jankari hai,kisi ko bhi ek upayogi jankari hai,kisi ko bHi ea tarah se bachne ke liye or samjhdari se kaam lena chahiye
Es jankari se jude sawalo ko comment me hamse puchhiye,ham aapke har sawal ka jawab dene ki koshish karenge
Or haa aapke liye kuch baate,aap ek samajhadar or sabhay inshan hai,or aap sabki bhalai chahte hai,esiliye Es SIM Swap jese dhokhaa ji se aapno ke saath -saath sabko bachaye,es nek kaam ko karne ke liye jitna ho sake es post ko share kariye
To dosto phir ham chalte hai,ham phir milenge new post ke saath tab tak ke liye Jay Hind Jay Bharat
No comments:
Write comment